Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yaqoob Parwaz

  • Ghazal


kis qadar KHush tha kabhi yaron ke beach


kis qadar ḳhush thā kabhī yāroñ ke beach
ab tarastā huuñ maiñ ḳhar-kāroñ ke beach

kuchh ḳhabar bhī hai mirī kuTiyā tujhe
ghir ga.ī hai kitne zardāroñ ke beach

dekh kar dushman mirā rone lagā
khilkhilāyā maiñ jo añgāroñ ke beach

kyā karegā sar pakaḌne ke sivā
ik masīhā itne bīmāroñ ke beach

jaane kyuuñ dīvār TeḌhī ho ga.ī
aur vo bhī itne me.amāroñ ke beach

merā girya rā.egāñ jaane lagā
kyā huā hāsil riyā-kāroñ ke beach

rah sakeñgī kis tarah parvāz ḳhush
chand sāñseñ itne āzāroñ ke beach

kis qadar KHush tha kabhi yaron ke beach
ab tarasta hun main KHar-karon ke beach

kuchh KHabar bhi hai meri kuTiya tujhe
ghir gai hai kitne zardaron ke beach

dekh kar dushman mera rone laga
khilkhilaya main jo angaron ke beach

kya karega sar pakaDne ke siwa
ek masiha itne bimaron ke beach

jaane kyun diwar TeDhi ho gai
aur wo bhi itne meamaron ke beach

mera girya raegan jaane laga
kya hua hasil riya-karon ke beach

rah sakengi kis tarah parwaz KHush
chand sansen itne aazaron ke beach


Leave a comment

+