Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Taban Abdul Hai

  • Ghazal


khota hi nahin hai hawas-e-matam-o-malbas


khotā hī nahīñ hai havas-e-mat.am-o-malbas
ye nafs-e-havasnāk o bad-āmoz-o-muhavvas

be-shubah tirī zaat ḳhudāvand-e-ḳhalā.iq
a.alā hai ta.ālā hai mua.allā hai muqaddas

vo kaam tū kar jis se tirī gor ho gulzār
kyā ḳhāna-e-dīvār ko kartā hai muqarnas

madfan ke ta.iiñ aage hī mun.im na binā rakh
kyā jāniye vaañ dafn ho yā khā.egā kargas

hai vasl tirā jannat-o-dozaḳh hī judā hai
jaane hai kab is baab ke ta.iiñ har kas-o-nā-kas

tasvīr tire panja-e-sīmīñ kī talā se
dīvān meñ hai mere likhī jaa.e muḳhammas

kahne ko mire dil ke sun ai gulshan-e-ḳhūbī
gar hai to tire ko hai ye firdaus ye murdas

sun sun ke tirā shor vo bezār huā aur
naale kā asar tere dilā dekh liyā bas

is jubba-o-ammāma se rindoñ meñ na aao
rusvā na karo shaiḳh-jī ye shakl-e-muqaddas

mānind-e-kamāñ ḳham na karūñ qad ko tama.a se
gardish meñ rakhe go mujhe ye charḳh-e-muqavvas

har raat hai āshiq ko tire roz-e-qayāmat
har roz judā.ī meñ use ho hai hunaddas

'tābāñ' ye ġhazal ahl-e-shu.ūroñ ke liye hai
ahmaq na koī samjhe to jaane mirā dhandas

khota hi nahin hai hawas-e-matam-o-malbas
ye nafs-e-hawasnak o bad-amoz-o-muhawwas

be-shubah teri zat KHudawand-e-KHalaiq
aala hai taala hai mualla hai muqaddas

wo kaam tu kar jis se teri gor ho gulzar
kya KHana-e-diwar ko karta hai muqarnas

madfan ke tain aage hi munim na bina rakh
kya jaaniye wan dafn ho ya khaega kargas

hai wasl tera jannat-o-dozaKH hi juda hai
jaane hai kab is bab ke tain har kas-o-na-kas

taswir tere panja-e-simin ki tala se
diwan mein hai mere likhi jae muKHammas

kahne ko mere dil ke sun ai gulshan-e-KHubi
gar hai to tere ko hai ye firdaus ye murdas

sun sun ke tera shor wo bezar hua aur
nale ka asar tere dila dekh liya bas

is jubba-o-ammama se rindon mein na aao
ruswa na karo shaiKH-ji ye shakl-e-muqaddas

manind-e-kaman KHam na karun qad ko tama se
gardish mein rakhe go mujhe ye charKH-e-muqawwas

har raat hai aashiq ko tere roz-e-qayamat
har roz judai mein use ho hai hunaddas

'taban' ye ghazal ahl-e-shuuron ke liye hai
ahmaq na koi samjhe to jaane mera dhandas


Leave a comment

+