muddat kī tishnagī kā in.aam chāhtā huuñ
mastī bharī nazar se ik jaam chāhtā huuñ
ai gardish-e-zamāna zahmat to hogī tujh ko
kuchh der ke liye maiñ ārām chāhtā huuñ
kal ham se kah rahā thā shohrat-talab zamāna
tum kaam chāhte ho maiñ naam chāhtā huuñ
sub.h-e-hayāt le le ai zulf-e-yār lekin
maiñ tujh se is ke badle ik shaam chāhtā huuñ
bād-e-sabā se kah do merī taraf bhī aa.e
maiñ bhī 'hafīz' un kā paiġhām chāhtā huuñ
muddat ki tishnagi ka inam chahta hun
masti bhari nazar se ek jam chahta hun
ai gardish-e-zamana zahmat to hogi tujh ko
kuchh der ke liye main aaram chahta hun
kal hum se kah raha tha shohrat-talab zamana
tum kaam chahte ho main nam chahta hun
subh-e-hayat le le ai zulf-e-yar lekin
main tujh se is ke badle ek sham chahta hun
baad-e-saba se kah do meri taraf bhi aae
main bhi 'hafiz' un ka paigham chahta hun
Source: Book : Safeer-e-shar-e-dil (Pg. 27) Author : Hafeez Banarsi Publication : Hafeez Banarsi (2007) Edition : 2007
Leave a comment