jān-e-muztar ko na ho kyuuñ dil-e-betāb se haz
hotā ahbāb ko hai sohbat-e-ahbāb se haz
nigah-e-mast se paatā hai vo dil kaifiyyat
ho.e maḳhmūr ko jis tarah mai-e-nāb se haz
kyā kahūñ furqat-e-jānāñ meñ ki jo guzre hai
pūchhe ab is kā koī māhī-e-be-āb se haz
ahl-e-dil paate haiñ jam.iyyat-e-dil se lazzat
ahl-e-duniyā ko hai jam.iyyat-e-asbāb se haz
dekh kar rū-e-butāñ jaan mazā paatī hai
andalīboñ ko na ho kyuuñ gul-e-shādāb se haz
kartā bad-haz hai faqat tāla-e-bedār ko ḳhvāb
varna har jāgne vaale ko milā ḳhvāb se haz
jab na ho saath vo mah-rū shab-e-mahtāb meñ 'aish'
kyā uThe ḳhaak batāo shab-e-mahtāb se haz
jaan-e-muztar ko na ho kyun dil-e-betab se haz
hota ahbab ko hai sohbat-e-ahbab se haz
nigah-e-mast se pata hai wo dil kaifiyyat
hoe maKHmur ko jis tarah mai-e-nab se haz
kya kahun furqat-e-jaanan mein ki jo guzre hai
puchhe ab is ka koi mahi-e-be-ab se haz
ahl-e-dil pate hain jamiyyat-e-dil se lazzat
ahl-e-duniya ko hai jamiyyat-e-asbab se haz
dekh kar ru-e-butan jaan maza pati hai
andalibon ko na ho kyun gul-e-shadab se haz
karta bad-haz hai faqat tala-e-bedar ko KHwab
warna har jagne wale ko mila KHwab se haz
jab na ho sath wo mah-ru shab-e-mahtab mein 'aish'
kya uThe KHak batao shab-e-mahtab se haz
Leave a comment