Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nafas Ambalvi

  • Ghazal


kaun si shaKH ka patta tha hara bhul gaya


kaun sī shāḳh kā patta thā harā bhuul gayā
peḌ se TuuT ke maiñ apnā pata bhuul gayā

maiñ koī va.ada-farāmosh nahīñ huuñ phir bhī
mujh pe ilzām hai maiñ apnā kahā bhuul gayā

apne bachchoñ ke khilaune to use yaad rahe
ghar meñ bīmār paḌī maañ kī davā bhuul gayā

kar to diiñ maiñ ne charāġhoñ kī qatāreñ raushan
hai zamāne kī magar tez havā bhuul gayā

ḳhauf-e-dozaḳh se Darātā rahā vaa.iz mujh ko
aur ḳhud apne gunāhoñ ki sazā bhuul gayā

tujh se kuchh kaam thā lekin tire ghar ke aage
ab khaḌā soch rahā huuñ kī maiñ kyā bhuul gayā

be-ḳhudī had se jo guzrī to maiñ ik roz 'nafas'
ghar se kyā niklā ki phir ghar pata kā bhuul gayā

kaun si shaKH ka patta tha hara bhul gaya
peD se TuT ke main apna pata bhul gaya

main koi wada-faramosh nahin hun phir bhi
mujh pe ilzam hai main apna kaha bhul gaya

apne bachchon ke khilaune to use yaad rahe
ghar mein bimar paDi man ki dawa bhul gaya

kar to din main ne charaghon ki qataren raushan
hai zamane ki magar tez hawa bhul gaya

KHauf-e-dozaKH se Daraata raha waiz mujh ko
aur KHud apne gunahon ki saza bhul gaya

tujh se kuchh kaam tha lekin tere ghar ke aage
ab khaDa soch raha hun ki main kya bhul gaya

be-KHudi had se jo guzri to main ek roz 'nafas'
ghar se kya nikla ki phir ghar pata ka bhul gaya


Leave a comment

+