Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jafar Sahni

  • Ghazal


aarzu kaamran nahin lagti


aarzū kāmrāñ nahīñ lagtī
zindagī shādmāñ nahīñ lagtī

hai halāvat nahīñ bayāñ meñ jab
dil-nashīñ dāstāñ nahīñ lagtī

maiñ sajā kar ise bahut ḳhush huuñ
phir bhī mahfil javāñ nahīñ lagtī

ishq ke bol yuuñ to dilkash haiñ
mo'atabar sī zabāñ nahīñ lagtī

guftugū kar ke aaj jugnū se
raat kuchh rā.egāñ nahīñ lagtī

rañg ḳhushbū sabā nahīñ mujh meñ
soch jannat-nishāñ nahīñ lagtī

pyaar kī vo hasīn sī aahaT
jo vahāñ thī yahāñ nahīñ lagtī

phuul shabnam kā aks lagtī thī
vo havā ab ravāñ nahīñ lagtī

'sāhnī'-jī hazār koshish se
ye zamīñ āsmāñ nahīñ lagtī

aarzu kaamran nahin lagti
zindagi shadman nahin lagti

hai halawat nahin bayan mein jab
dil-nashin dastan nahin lagti

main saja kar ise bahut KHush hun
phir bhi mahfil jawan nahin lagti

ishq ke bol yun to dilkash hain
mo'atabar si zaban nahin lagti

guftugu kar ke aaj jugnu se
raat kuchh raegan nahin lagti

rang KHushbu saba nahin mujh mein
soch jannat-nishan nahin lagti

pyar ki wo hasin si aahaT
jo wahan thi yahan nahin lagti

phul shabnam ka aks lagti thi
wo hawa ab rawan nahin lagti

'sahni'-ji hazar koshish se
ye zamin aasman nahin lagti


Leave a comment

+