Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Naji Shakir

  • Ghazal


dil ka khoj na paya hargiz dekha khol jo qabron ko


dil kā khoj na paayā hargiz dekhā khol jo qabroñ ko
jiite jī DhūñDe so paave ḳhabar karo be-ḳhabroñ ko

toshak baalā posh razā.ī hai bhūle majnūñ barsoñ tak
jab dikhlāve zulf sajan kī ban meñ aavte abroñ ko

kāfir nafas har ek kā tarsā zar kuuñ paayā baḳhtoñ siiñ
ātish kī puujā meñ guzrī umr tamām un gabroñ ko

mard jo aajiz ho tan man siiñ kahe ḳhush-āmad bāvar kar
mohtājī kā ḳhāsā hai rubāh kare hai babroñ ko

vaadā chuuk phir aayā 'nājī' dars kī ḳhātir phaḌke mat
chhūT gale tere ai zālim sabr kahāñ be-sabroñ ko

dil ka khoj na paya hargiz dekha khol jo qabron ko
jite ji DhunDe so pawe KHabar karo be-KHabron ko

toshak baala posh razai hai bhule majnun barson tak
jab dikhlawe zulf sajan ki ban mein aawte abron ko

kafir nafas har ek ka tarsa zar kun paya baKHton sin
aatish ki puja mein guzri umr tamam un gabron ko

mard jo aajiz ho tan man sin kahe KHush-amad bawar kar
mohtaji ka KHasa hai rubah kare hai babron ko

wada chuk phir aaya 'naji' dars ki KHatir phaDke mat
chhuT gale tere ai zalim sabr kahan be-sabron ko

RECITATIONS Fasih Akmal



00:00/00:00 dil ka khoj na paya hargiz dekha khol jo qabron ko Fasih Akmal

Leave a comment

+