Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Taban Abdul Hai

  • Ghazal


na mere pas izzat-e-ramazan


na mire paas izzat-e-ramazāñ
na kabhū kī ibādat-e-ramazāñ

dushman-e-aish kā maiñ dushman huuñ
go ki the farz hurmat-e-ramazāñ

mujh ko masjid se kaam nahīñ illā
sunñe jaatā huuñ ruḳhsat-e-ramazāñ

shaiḳh rotā hai apnī rozī ko
ki na az-bahr-e-furqat-e-ramazāñ

kuchh na hāsil huā kisī ke ta.iiñ
ġhair faaqa badaulat-e-ramzāñ

zāhid-e-ḳhushk ke ta.iiñ dekhe
yaad aatī hai sūrat-e-ramazāñ

mere ham-mashraboñ meñ aa 'tābāñ'
rījhte hoñge hazrat-e-ramazāñ

na mere pas izzat-e-ramazan
na kabhu ki ibaadat-e-ramazan

dushman-e-aish ka main dushman hun
go ki the farz hurmat-e-ramazan

mujh ko masjid se kaam nahin illa
sunne jata hun ruKHsat-e-ramazan

shaiKH rota hai apni rozi ko
ki na az-bahr-e-furqat-e-ramazan

kuchh na hasil hua kisi ke tain
ghair faqa badaulat-e-ramzan

zahid-e-KHushk ke tain dekhe
yaad aati hai surat-e-ramazan

mere ham-mashrabon mein aa 'taban'
rijhte honge hazrat-e-ramazan


Leave a comment

+