Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fahmida Riaz

  • Ghazal


ye kis ke aansuon ne us naqsh ko miTaya


ye kis ke āñsuoñ ne us naqsh ko miTāyā
jo mere lauh-e-dil par tū ne kabhī banāyā

thā dil jab us pe maa.il thā shauq saḳht mushkil
tarġhīb ne use bhī āsān kar dikhāyā

ik gard-bād meñ tū ojhal huā nazar se
is dasht-e-be-samar se juz ḳhaak kuchh na paayā

ai chob-e-ḳhushk-e-sahrā vo bād-e-shauq kyā thī
merī tarah barahna jis ne tujhe banāyā

phir ham haiñ nīm-shab hai andesha-e-abas hai
vo vāhima ki jis se terā yaqīn aayā

ye kis ke aansuon ne us naqsh ko miTaya
jo mere lauh-e-dil par tu ne kabhi banaya

tha dil jab us pe mail tha shauq saKHt mushkil
targhib ne use bhi aasan kar dikhaya

ek gard-baad mein tu ojhal hua nazar se
is dasht-e-be-samar se juz KHak kuchh na paya

ai chob-e-KHushk-e-sahra wo baad-e-shauq kya thi
meri tarah barahna jis ne tujhe banaya

phir hum hain nim-shab hai andesha-e-abas hai
wo wahima ki jis se tera yaqin aaya


Leave a comment

+