Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ejaz Ansari

  • Ghazal


bichhaD ke tujhse mujhe dukh to hai malal to hai


bichhaḌ ke tujh se mujhe dukh to hai malāl to hai
magar ye pyaar nibhānā bhī ik kamāl to hai

karam sahī na sahī ab tire sitam hī sahī
yahī bahut hai ki tujh ko mirā ḳhayāl to hai

maiñ is ḳhayāl se shohrat se duur rahtā huuñ
uruuj kitnā bhī ho ek din zavāl to hai

maiñ bujh gayā huuñ zamāne kī āñdhiy.oñ se magar
mirā vajūd sulagtā huā savāl to hai

na chaah kar bhī mirā zikr karte rahte haiñ
muḳhālifoñ meñ ye ḳhūbī to hai kamāl to hai

maiñ mutma.in huuñ buzurgoñ se rābta rakh kar
juḌā huā mire maazī se merā haal to hai

za.iif baap kā saaya bhī kam nahīñ 'ejāz'
mahāz-e-zīst meñ ye naam ek Dhaal to hai

bichhaD ke tujh se mujhe dukh to hai malal to hai
magar ye pyar nibhana bhi ek kamal to hai

karam sahi na sahi ab tere sitam hi sahi
yahi bahut hai ki tujh ko mera KHayal to hai

main is KHayal se shohrat se dur rahta hun
uruj kitna bhi ho ek din zawal to hai

main bujh gaya hun zamane ki aandhiyon se magar
mera wajud sulagta hua sawal to hai

na chah kar bhi mera zikr karte rahte hain
muKHalifon mein ye KHubi to hai kamal to hai

main mutmain hun buzurgon se rabta rakh kar
juDa hua mere mazi se mera haal to hai

zaif bap ka saya bhi kam nahin 'ejaz'
mahaz-e-zist mein ye nam ek Dhaal to hai


Source:

Leave a comment

+