Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghani Ejaz

  • Ghazal


tumhein KHabar bhi hai ye tumne kis se kya manga


tumheñ ḳhabar bhī hai ye tum ne kis se kyā māñgā
bhañvar meñ Dūbne vāloñ se aasrā māñgā

sune jo mere azā.em to āzmāne ko
havā se barq ne ghar kā mire patā māñgā

ḳhud apnī raah banātā gayā pahāḌoñ meñ
kabhī kahāñ kisī dariyā ne rāstā māñgā

jo aap apne añdheroñ se bad-havās huī
shab-e-siyāh ne ghabrā ke ik diyā māñgā

kahīñ bhī ho koī nekī barā.e nekī ho
vahīñ pe ho ga.ī zaa.e.a agar sila māñgā

ḳhudā kī den ke mohtāj-e-bandagān-e-ḳhudā
ye kyā ki māñgne vāloñ se jā-ba-jā māñgā

hameñ jo ishq meñ honā thā surḳh-rū 'ejāz'
to ham ne jān-e-hazīñ qalb-e-mubtalā māñgā

tumhein KHabar bhi hai ye tum ne kis se kya manga
bhanwar mein Dubne walon se aasra manga

sune jo mere azaem to aazmane ko
hawa se barq ne ghar ka mere pata manga

KHud apni rah banata gaya pahaDon mein
kabhi kahan kisi dariya ne rasta manga

jo aap apne andheron se bad-hawas hui
shab-e-siyah ne ghabra ke ek diya manga

kahin bhi ho koi neki barae neki ho
wahin pe ho gai zaea agar sila manga

KHuda ki den ke mohtaj-e-bandagan-e-KHuda
ye kya ki mangne walon se ja-ba-ja manga

hamein jo ishq mein hona tha surKH-ru 'ejaz'
to hum ne jaan-e-hazin qalb-e-mubtala manga


Source: Ghani Ejaz

Leave a comment

+