burā ho kar bhī vo achchhā bahut hai
vo jaisā hai nahīñ bantā bahut hai
namak to kam nahīñ hai roz-o-shab meñ
svād-e-zindagī phīkā bahut hai
fareb-e-sādgī hai yā sharārat
maiñ ye samjhā ki vo merā bahut hai
tujhe sochā kiyā shab-bhar sañvārā
nahīñ aisā nahīñ vaisā bahut hai
usī se baat karnā hai ki jis ne
hameñ samjhā nahīñ pūchhā bahut hai
hameñ kuchh der meñ manzil milegī
hamārā rāsta sīdhā bahut hai
ye banda kaun hai kuchh 'badr' jaisā
vahī jo bhiiḌ meñ tanhā bahut hai
bura ho kar bhi wo achchha bahut hai
wo jaisa hai nahin banta bahut hai
namak to kam nahin hai roz-o-shab mein
swad-e-zindagi phika bahut hai
fareb-e-sadgi hai ya shararat
main ye samjha ki wo mera bahut hai
tujhe socha kiya shab-bhar sanwara
nahin aisa nahin waisa bahut hai
usi se baat karna hai ki jis ne
hamein samjha nahin puchha bahut hai
hamein kuchh der mein manzil milegi
hamara rasta sidha bahut hai
ye banda kaun hai kuchh 'badr' jaisa
wahi jo bhiD mein tanha bahut hai
Source: Book : TO MAIN KAHAN HOON (POETRY) (Pg. 18) Author : Badr Wasti Publication : Madhya Pradesh Urdu Academy (2010) Edition : 2010
Leave a comment