mirā ḳhurshīd-rū sab māh-rūyāñ biich yakkā hai
ki har jalve meñ us ke kyā kahūñ aur hī jhamakkā hai
nahīñ hone kā chañgā gar sulaimānī lage marham
hamāre dil pe kaarī zaḳhm us nāvak palak kā hai
ka.ī baarī binā ho jis kī phir kahte haiñ TūTegā
ye hurmat jis kī ho ai shaiḳh kyā terā vo makka hai
har ik dil ke ta.iiñ le kar vo chanchal bhaag jaatā hai
sitamgar hai jafā-jū hai sharābī hai uchakkā hai
na jā vaa.iz kī bātoñ par hamesha mai ko pī 'tābāñ'
abas Dartā hai tū dozaḳh se ik shara.ī darakkā hai
mera KHurshid-ru sab mah-ruyan bich yakka hai
ki har jalwe mein us ke kya kahun aur hi jhamakka hai
nahin hone ka changa gar sulaimani lage marham
hamare dil pe kari zaKHm us nawak palak ka hai
kai bari bina ho jis ki phir kahte hain TuTega
ye hurmat jis ki ho ai shaiKH kya tera wo makka hai
har ek dil ke tain le kar wo chanchal bhag jata hai
sitamgar hai jafa-ju hai sharabi hai uchakka hai
na ja waiz ki baaton par hamesha mai ko pi 'taban'
abas Darta hai tu dozaKH se ek sharai darakka hai
Leave a comment