itne āsūda kināre nahīñ achchhe lagte
ek hī jaise nazāre nahīñ achchhe lagte
itnī be-rabt kahānī nahīñ achchhī lagtī
aur vāzeh bhī ishāre nahīñ achchhe lagte
zarā dhīmī ho to ḳhushbū bhī bhalī lagtī hai
aañkh ko rañg bhī saare nahīñ achchhe lagte
paas aa jaa.eñ to be-nūrī muqaddar Thahre
duur bhī itne sitāre nahīñ achchhe lagte
apnī gumnāmī ke sahrāoñ meñ ḳhush rahtī huuñ
ab mujhe shahr tumhāre nahīñ achchhe lagte
itne aasuda kinare nahin achchhe lagte
ek hi jaise nazare nahin achchhe lagte
itni be-rabt kahani nahin achchhi lagti
aur wazeh bhi ishaare nahin achchhe lagte
zara dhimi ho to KHushbu bhi bhali lagti hai
aankh ko rang bhi sare nahin achchhe lagte
pas aa jaen to be-nuri muqaddar Thahre
dur bhi itne sitare nahin achchhe lagte
apni gumnami ke sahraon mein KHush rahti hun
ab mujhe shahr tumhaare nahin achchhe lagte
RECITATIONS
Azra Naqvi
00:00/00:00
Itne ansuda kinare nahin ache lagte
Azra Naqvi
Leave a comment