Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ehsas Muradabadi

  • Ghazal


zindagi chamke meri mehr-e-daraKHshan ki tarah


zindagī chamke mirī mehr-e-daraḳhshāñ kī tarah
tum agar saath do merā shab-e-hijrāñ kī tarah

phir maiñ ḳhud aap se ta.abīr-e-mohabbat pūchhūñ
aap aa jaa.eñ kisī ḳhvāb-e-pareshāñ kī tarah

laakh qurbāniyāñ ik zaat kī ḳhātir se huiiñ
koī patthar bhī na puujā gayā insāñ kī tarah

aur kyā pesh karūñ hāsil-e-zabt-e-ġham-e-ishq
chashm-e-giryāñ kī tarah chehra-e-ḳhandāñ kī tarah

haath aa jaa.e agar gosha-e-dāmān-e-karam
vus.ateñ duuñ maiñ use ālam-e-imkāñ kī tarah

aur kyā lā.ūñ maiñ takmīl-e-bahārāñ kā subūt
apne dāman kī tarah apne garebāñ kī tarah

āñdhiyāñ aatī haiñ gul karne ko 'ehsās' bahut
jhilmilātā huuñ charāġh-e-tah-e-dāmāñ kī tarah

zindagi chamke meri mehr-e-daraKHshan ki tarah
tum agar sath do mera shab-e-hijran ki tarah

phir main KHud aap se tabir-e-mohabbat puchhun
aap aa jaen kisi KHwab-e-pareshan ki tarah

lakh qurbaniyan ek zat ki KHatir se huin
koi patthar bhi na puja gaya insan ki tarah

aur kya pesh karun hasil-e-zabt-e-gham-e-ishq
chashm-e-giryan ki tarah chehra-e-KHandan ki tarah

hath aa jae agar gosha-e-daman-e-karam
wusaten dun main use aalam-e-imkan ki tarah

aur kya laun main takmil-e-bahaaran ka subut
apne daman ki tarah apne gareban ki tarah

aandhiyan aati hain gul karne ko 'ehsas' bahut
jhilmilata hun charagh-e-tah-e-daman ki tarah


Leave a comment

+