raat chaupāl aur alaav miyāñ
ab kahāñ gaañv kā subhāv miyāñ
sher kahnā to ḳhair mushkil hai
sher paḌhnā hī siikh jaao miyāñ
dars-o-tadrīs jab ki mansab hai
kuchh paḌho aur kuchh paḌhāo miyāñ
ye jo phailī to tum bhī jhulsoge
aag kā khel mat rachāo miyāñ
ye safar dard kā hai raste meñ
kaisā ruknā kahāñ paḌāv miyāñ
raat chaupal aur alaw miyan
ab kahan ganw ka subhaw miyan
sher kahna to KHair mushkil hai
sher paDhna hi sikh jao miyan
dars-o-tadris jab ki mansab hai
kuchh paDho aur kuchh paDhao miyan
ye jo phaili to tum bhi jhulsoge
aag ka khel mat rachao miyan
ye safar dard ka hai raste mein
kaisa rukna kahan paDaw miyan
Source: Book : Khushk Tahni Zard Pattay (Pg. 45) Author : Yousuf Taqi Publication : Yousuf Taqi (2003) Edition : 2003
Leave a comment