Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Jaunpuri

  • Ghazal


idhar hote hote udhar hote hote


idhar hote hote udhar hote hote
huī dil kī dil ko ḳhabar hote hote

baḌhī chaah donoñ taraf baḌhte baḌhte
mohabbat huī is qadar hote hote

tirā rāsta shaam se takte takte
mirī aas TuuTī sahar hote hote

kiye jā abhī mashq-e-fariyād-e-bulbul
ki hotā hai paidā asar hote hote

na sambhlā mohabbat kā bīmār āḳhir
ga.ī jaan dard-e-jigar hote hote

sar-e-shām hī jab hai ye dil kī hālat
to kyā kyā na hogā sahar hote hote

zamāne meñ un ke suḳhan kā hai shohra
'hafīz' ab hue nāmvar hote hote

idhar hote hote udhar hote hote
hui dil ki dil ko KHabar hote hote

baDhi chah donon taraf baDhte baDhte
mohabbat hui is qadar hote hote

tera rasta sham se takte takte
meri aas TuTi sahar hote hote

kiye ja abhi mashq-e-fariyaad-e-bulbul
ki hota hai paida asar hote hote

na sambhla mohabbat ka bimar aaKHir
gai jaan dard-e-jigar hote hote

sar-e-sham hi jab hai ye dil ki haalat
to kya kya na hoga sahar hote hote

zamane mein un ke suKHan ka hai shohra
'hafiz' ab hue namwar hote hote

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 idhar hote hote udhar hote hote Nomaan Shauque

Leave a comment

+