Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Najmus Saqib

  • Ghazal


achchha sa iKHtitam bhi tum se na ho saka


achchhā sā iḳhtitām bhī tum se na ho sakā
is martaba salām bhī tum se na ho sakā

suljhīñ na gutthiyāñ kabhī bāhar ke ḳhauf kī
andar kā ehtirām bhī tum se na ho sakā

bachchoñ ne aag oḌh lī chīḳhoñ ke shor meñ
aise meñ kuchh kalām bhī tum se na ho sakā

ḳharcha na ghar kā chal sakā harfoñ ko bech kar
lahja badal ke naam bhī tum se na ho sakā

apnā hī ghar sambhālnā bhī kaam hai koī
itnā zarā sā kaam bhī tum se na ho sakā

achchha sa iKHtitam bhi tum se na ho saka
is martaba salam bhi tum se na ho saka

suljhin na gutthiyan kabhi bahar ke KHauf ki
andar ka ehtiram bhi tum se na ho saka

bachchon ne aag oDh li chiKHon ke shor mein
aise mein kuchh kalam bhi tum se na ho saka

KHarcha na ghar ka chal saka harfon ko bech kar
lahja badal ke nam bhi tum se na ho saka

apna hi ghar sambhaalna bhi kaam hai koi
itna zara sa kaam bhi tum se na ho saka


Leave a comment

+