Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wali Aasi

  • Ghazal


phul se masum bachchon ki zaban ho jaenge


phuul se ma.asūm bachchoñ kī zabāñ ho jā.eñge
miT bhī jā.eñge to ham ik dāstāñ ho jā.eñge

maiñ ne tere saath jo lamhe guzāre the kabhī
aane vaale mausamoñ meñ titliyāñ ho jā.eñge

kyā ḳhabar kis samt meñ pāgal havā le jā.egī
jab purāne kashtiyoñ ke bādbāñ ho jā.eñge

tujh ko shohrat kī talab ūñchā uḌā le jā.egī
duur tujh se ye zamīn-o-āsmāñ ho jā.eñge

yaad aa.egī unheñ kyā kyā hamārī be-hisī
jab hamāre ahd ke bachche javāñ ho jā.eñge

mere naġhme merī ḳhātir kuchh bhī hoñ 'vālī' magar
aag barsātī rutoñ meñ badliyāñ ho jā.eñge

phul se masum bachchon ki zaban ho jaenge
miT bhi jaenge to hum ek dastan ho jaenge

main ne tere sath jo lamhe guzare the kabhi
aane wale mausamon mein titliyan ho jaenge

kya KHabar kis samt mein pagal hawa le jaegi
jab purane kashtiyon ke baadban ho jaenge

tujh ko shohrat ki talab uncha uDa le jaegi
dur tujh se ye zamin-o-asman ho jaenge

yaad aaegi unhen kya kya hamari be-hisi
jab hamare ahd ke bachche jawan ho jaenge

mere naghme meri KHatir kuchh bhi hon 'wali' magar
aag barsati ruton mein badliyan ho jaenge


Source: Book : Mujalla Dastavez (Pg. 104) Author : Aziz Nabeel Publication : Edarah Dastavez (2010) Edition : 2010

Leave a comment

+