Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ehtimam Sadiq

  • Ghazal


teri shabih ko likkha hai rang-o-bu maine


tirī shabīh ko likkhā hai rañg-o-bū maiñ ne
guloñ kī aise bachā lī hai aabrū maiñ ne

kitāb-e-zīst pe hai lafz-e-nā-shanāsā.ī
magar ye kyā ki likhā tum ko aaj tū maiñ ne

mujhī meñ rah ke vo ab tak nahīñ milā mujh ko
ki ek umr se kī jis kī justujū maiñ ne

raheñge chain se ab dard maiñ mohabbat ġham
tumhārī dil se miTā dī hai aarzū maiñ ne

jo mere lahje meñ ab bhī ḳhumār hai 'sādiq'
kisī se ḳhvāb meñ kar lī thī guftugū maiñ ne

teri shabih ko likkha hai rang-o-bu main ne
gulon ki aise bacha li hai aabru main ne

kitab-e-zist pe hai lafz-e-na-shanasai
magar ye kya ki likha tum ko aaj tu main ne

mujhi mein rah ke wo ab tak nahin mila mujh ko
ki ek umr se ki jis ki justuju main ne

rahenge chain se ab dard main mohabbat gham
tumhaari dil se miTa di hai aarzu main ne

jo mere lahje mein ab bhi KHumar hai 'sadiq'
kisi se KHwab mein kar li thi guftugu main ne


Leave a comment

+