Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Prem Kumar Nazar

  • Ghazal


ek pal ki dauD dhup mein aisa thaka badan


ik pal kī dauḌ dhuup meñ aisā thakā badan
maiñ ḳhud to jāgtā huuñ magar so gayā badan

bachcha bhī dekh le to humak kar lapak paḌe
aisī hī ek chiiz hai vo dūdhiyā badan

jī chāhtā hai haath lagā kar bhī dekh leñ
us kā badan qabā hai ki us kī qabā badan

jab se chalā hai tañg qamīsoñ kā ye rivāj
nā-āshnā badan bhī lage āshnā badan

gañgā ke pāniyoñ sā pavitra kaheñ jise
āñkhoñ ke taT pe tairtā hai jo gayā badan

bistar pe tere mere sivā aur kaun hai
mahsūs ho rahā hai koī tīsrā badan

dhartī ne mausamoñ kā asar kar liyā qubūl
rut phir ga.ī to ho gayā us kā harā badan

is ko kahāñ kahāñ se rafū kījiye 'nazar'
behtar yahī hai oḌhiye ab dūsrā badan

ek pal ki dauD dhup mein aisa thaka badan
main KHud to jagta hun magar so gaya badan

bachcha bhi dekh le to humak kar lapak paDe
aisi hi ek chiz hai wo dudhiya badan

ji chahta hai hath laga kar bhi dekh len
us ka badan qaba hai ki us ki qaba badan

jab se chala hai tang qamison ka ye riwaj
na-ashna badan bhi lage aashna badan

ganga ke paniyon sa pawitra kahen jise
aankhon ke taT pe tairta hai jo gaya badan

bistar pe tere mere siwa aur kaun hai
mahsus ho raha hai koi tisra badan

dharti ne mausamon ka asar kar liya qubul
rut phir gai to ho gaya us ka hara badan

is ko kahan kahan se rafu kijiye 'nazar'
behtar yahi hai oDhiye ab dusra badan


Leave a comment

+