Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iftikhar Haidar

  • Ghazal


munafiqin se azlam se muqabla hai


munāfiqīn se azlām se muqābla hai
madīne vaale haiñ aur shaam se muqābla hai

ḳhudā ke āḳhirī paiġhām se muqābla hai
janāb-e-shaiḳh kā islām se muqābla hai

hamāre sher kā āvurd se taqābul chhoḌ
hamāre sher kā ilhām se muqābla hai

vo paas baiThā hai aur vasvase judā.ī ke
mire yaqīn kā auhām se muqābla hai

badan kamān huā aur saañs ghuTne lagī
hamārā gardish-e-ayyām se muqābla hai

munafiqin se azlam se muqabla hai
madine wale hain aur sham se muqabla hai

KHuda ke aaKHiri paigham se muqabla hai
janab-e-shaiKH ka islam se muqabla hai

hamare sher ka aawurd se taqabul chhoD
hamare sher ka ilham se muqabla hai

wo pas baiTha hai aur waswase judai ke
mere yaqin ka auham se muqabla hai

badan kaman hua aur sans ghuTne lagi
hamara gardish-e-ayyam se muqabla hai


Leave a comment

+