Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ejazulhaq Shahab

  • Ghazal


jism KHamosh si taswir hua jata hai


jism ḳhāmosh sī tasvīr huā jaatā hai
ab tirā hijr le ta.amīr huā jaatā hai

rabt jab ek kī taqdīr se ho jaa.e to phir
kyā kisī aur kī taqdīr huā jaatā hai

ruḳh ukere hue maazī kī kahānī ke nuqūsh
ab ġham-e-hijr kī tash.hīr huā jaatā hai

aks ubhre shab-e-furqat meñ jo dīvāroñ par
vaqt mere liye shamshīr huā jaatā hai

tū bhī ab dekh le is sabr ke dāman ko sameT
zabt merā bhī ab āḳhīr huā jaatā hai

us ne jaane kā kahā maiñ ne bhī rokā hī nahīñ
kyā kabhī paañv kī zanjīr huā jaatā hai

haa.e ġhazleñ tirī dil chiir ke rakh deñgī 'shahāb'
chand arse meñ kahāñ 'mīr' huā jaatā hai

jism KHamosh si taswir hua jata hai
ab tera hijr le tamir hua jata hai

rabt jab ek ki taqdir se ho jae to phir
kya kisi aur ki taqdir hua jata hai

ruKH ukere hue mazi ki kahani ke nuqush
ab gham-e-hijr ki tashhir hua jata hai

aks ubhre shab-e-furqat mein jo diwaron par
waqt mere liye shamshir hua jata hai

tu bhi ab dekh le is sabr ke daman ko sameT
zabt mera bhi ab aaKHir hua jata hai

us ne jaane ka kaha main ne bhi roka hi nahin
kya kabhi panw ki zanjir hua jata hai

hae ghazlen teri dil chir ke rakh dengi 'shahab'
chand arse mein kahan 'mir' hua jata hai


Leave a comment

+