Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Taban Abdul Hai

  • Ghazal


yar ruTha hai mera usko manaun kis tarah


yaar rūThā hai mirā us ko manā.ūñ kis tarah
minnateñ kar paañv paḌ us ke le aa.uuñ kis tarah

jab talak tum ko na dekhūñ tab talak bechain huuñ
maiñ tumhāre paas har saa.at na aa.uuñ kis tarah

dil dhaḌaktā hai mabādā uTh ke deve gāliyāñ
yaar sotā hai mirā us ko jagā.ūñ kis tarah

bulbuloñ ke haal par aatā hai muj ko rahm aaj
daam se sayyād ke un ko chhuḌā.ūñ kis tarah

yaar bāñkā hai mirā chhuT teġh na.iiñ kartā hai baat
us se ai 'tābāñ' maiñ apnā jī bachā.ūñ kis tarah

yar ruTha hai mera us ko manaun kis tarah
minnaten kar panw paD us ke le aaun kis tarah

jab talak tum ko na dekhun tab talak bechain hun
main tumhaare pas har saat na aaun kis tarah

dil dhaDakta hai mabaada uTh ke dewe galiyan
yar sota hai mera us ko jagaun kis tarah

bulbulon ke haal par aata hai muj ko rahm aaj
dam se sayyaad ke un ko chhuDaun kis tarah

yar banka hai mera chhuT tegh nain karta hai baat
us se ai 'taban' main apna ji bachaun kis tarah

RECITATIONS Fasih Akmal



00:00/00:00 yar ruTha hai mera usko manaun kis tarah Fasih Akmal

Leave a comment

+