Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jaan Nisar Akhtar

  • Ghazal


aaj muddat mein wo yaad aae hain


aaj muddat meñ vo yaad aa.e haiñ
dar o dīvār pe kuchh saa.e haiñ

ābgīnoñ se na Takrā paa.e
kohsāroñ se to Takrā.e haiñ

zindagī tere havādis ham ko
kuchh na kuchh raah pe le aa.e haiñ

sañg-rezoñ se ḳhazaf-pāroñ se
kitne hiire kabhī chun laa.e haiñ

itne māyūs to hālāt nahīñ
log kis vāste ghabrā.e haiñ

un kī jānib na kisī ne dekhā
jo hameñ dekh ke sharmā.e haiñ

aaj muddat mein wo yaad aae hain
dar o diwar pe kuchh sae hain

aabginon se na Takra pae
kohsaron se to Takrae hain

zindagi tere hawadis hum ko
kuchh na kuchh rah pe le aae hain

sang-rezon se KHazaf-paron se
kitne hire kabhi chun lae hain

itne mayus to haalat nahin
log kis waste ghabrae hain

un ki jaanib na kisi ne dekha
jo hamein dekh ke sharmae hain

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 aaj muddat mein wo yaad aae hain Nomaan Shauque

Leave a comment

+