tum ne likkhā hai likho kaisā huuñ maiñ
dostoñ kī bhiiḌ hai tanhā huuñ maiñ
yāsmīn o nastaran merā pata
ḳhushbuoñ ke jism par likhā huuñ maiñ
pahle hī kyā kam tamāshe the yahāñ
phir na.e manzar uThā laayā huuñ maiñ
phir vahī mausam purāne ho ga.e
din Dhale sargoshiyāñ suntā huuñ maiñ
kaun utartī chaḌhtī sāñsoñ kā amiiñ
sāya-e-dīvār se lipTā huuñ maiñ
tū kabhī is shahr se ho kar guzar
rāstoñ ke jaal meñ uljhā huuñ maiñ
vo mirī ḳhush-fahmiyāñ sab kyā huiiñ
jaane kab se be-hunar zinda huuñ maiñ
tum ne likkha hai likho kaisa hun main
doston ki bhiD hai tanha hun main
yasmin o nastaran mera pata
KHushbuon ke jism par likha hun main
pahle hi kya kam tamashe the yahan
phir nae manzar uTha laya hun main
phir wahi mausam purane ho gae
din Dhale sargoshiyan sunta hun main
kaun utarti chaDhti sanson ka amin
saya-e-diwar se lipTa hun main
tu kabhi is shahr se ho kar guzar
raston ke jal mein uljha hun main
wo meri KHush-fahmiyan sab kya huin
jaane kab se be-hunar zinda hun main
Leave a comment