Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Prem Shankar Goila Farhat

  • Ghazal


dil ko nasib gham ki qayaadat nahin rahi


dil ko nasīb ġham kī qayādat nahīñ rahī
ab justajū-e-aish meñ lazzat nahīñ rahī

nairañg-e-chashm-e-dost hai mujh par asar-pazīr
ab marg-o-zīst meñ vo raqābat nahīñ rahī

badlī huī hai qadr-e-garebāñ darīdgī
yā ḳhanda-hā-e-gul meñ sadāqat nahīñ rahī

apnī tabī.at aaj ba-faiz-e-ġham-e-hayāt
mid.hat kun-e-matā-e-latāfat nahīñ rahī

shikva ġhalat hai rahmat-e-parvardigār se
mujh ko hī qadr-e-ashk-e-nadāmat nahīñ rahī

irfān aaj rānda-e-dargā-e-aql hai
uf āshtī-e-chashm-o-basārat nahīñ rahī

khulne lagā hai ātish-e-sayyāl kā bharam
ab bazm-e-mai bhī bā.is-e-'farhat' nahīñ rahī

dil ko nasib gham ki qayaadat nahin rahi
ab justaju-e-aish mein lazzat nahin rahi

nairang-e-chashm-e-dost hai mujh par asar-pazir
ab marg-o-zist mein wo raqabat nahin rahi

badli hui hai qadr-e-gareban daridgi
ya KHanda-ha-e-gul mein sadaqat nahin rahi

apni tabiat aaj ba-faiz-e-gham-e-hayat
midhat kun-e-mata-e-latafat nahin rahi

shikwa ghalat hai rahmat-e-parwardigar se
mujh ko hi qadr-e-ashk-e-nadamat nahin rahi

irfan aaj randa-e-darga-e-aql hai
uf aashti-e-chashm-o-basarat nahin rahi

khulne laga hai aatish-e-sayyal ka bharam
ab bazm-e-mai bhi bais-e-'farhat' nahin rahi


Source: Book : Saaz-e-hayat (Pg. 80) Author : Prem Shankar Goila Farhat Publication : Maktaba Tahriik, Ansari Market, Daryaganj (1965) Edition : 1965

Leave a comment

+