Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tabish Dehlvi

  • Ghazal


hama-tan gosh ek zamana tha


hama-tan gosh ik zamāna thā
mere lab par tirā fasāna thā

kaash dil hī zarā Thahar jaatā
gardishoñ meñ agar zamāna thā

ham the aur e'timād-e-fasl-e-bahār
shāḳh shāḳh apnā āshiyāna thā

vo bahāreñ bhī ham pe guzrī haiñ
jab qafas thā na āshiyāna thā

dil kī ummidvāriyāñ na ga.iiñ
us karam kā koī Thikāna thā

sub.h se pahle bujh gayā 'tābish'
ek dil hī charāġh-e-ḳhāna thā

hama-tan gosh ek zamana tha
mere lab par tera fasana tha

kash dil hi zara Thahar jata
gardishon mein agar zamana tha

hum the aur e'timad-e-fasl-e-bahaar
shaKH shaKH apna aashiyana tha

wo bahaaren bhi hum pe guzri hain
jab qafas tha na aashiyana tha

dil ki ummidwariyan na gain
us karam ka koi Thikana tha

subh se pahle bujh gaya 'tabish'
ek dil hi charagh-e-KHana tha


Leave a comment

+