Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Waliullah Muhib

  • Ghazal


yun ghar se mohabbat ke kya bhag chale jaana


yuuñ ghar se mohabbat ke kyā bhaag chale jaanā
kuchh is meñ samajhtā hai de aag chale jaanā

tā-shahr-e-adam ham ko mushkil nazar aatā hai
ālā.ish-e-hastī se be-lāg chale jaanā

kūche se tire gaahe ghar shab ko jo aatā huuñ
phir sub.h hue sote uTh jaag chale jaanā

us zulf ke af.ī ne maarā hai jise us ke
ashk aañkh se aur muñh se haiñ jhaag chale jaanā

jaate to ho mai-ḳhāne masjid meñ bhī yak saa.at
vaa.iz kā muhib sunte khaḌDāg chale jaanā

yun ghar se mohabbat ke kya bhag chale jaana
kuchh is mein samajhta hai de aag chale jaana

ta-shahr-e-adam hum ko mushkil nazar aata hai
aalaish-e-hasti se be-lag chale jaana

kuche se tere gahe ghar shab ko jo aata hun
phir subh hue sote uTh jag chale jaana

us zulf ke afi ne mara hai jise us ke
ashk aankh se aur munh se hain jhag chale jaana

jate to ho mai-KHane masjid mein bhi yak saat
waiz ka muhib sunte khaDDag chale jaana


Source: Deewan-e-Waleeullah Muhib

Leave a comment

+