Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Lubna Safdar

  • Ghazal


KHizan ki sham ko zaKHm-e-bahaar kis ne kiya


ḳhizāñ kī shaam ko zaḳhm-e-bahār kis ne kiyā
har ek resha-e-gul rañg-bār kis ne kiyā

ḳhushī visāl kī saarī sameT lī tū ne
firāq lamhoñ ko bolo shumār kis ne kiyā

har ek shaḳhs yahāñ bad-gumān tujh se thā
nigāh-e-yār tirā e'tibār kis ne kiyā

ye mere ghar kī udāsī gavāhī degī tujhe
ki tere hijr ke dariyā ko paar kis ne kiyā

matā-e-jāñ ko kiyā ḳhaak kis ne tere liye
ye ḳhāk-e-jāñ hī batā.egī pyaar kis ne kiyā

vafā meñ jaan luTāne ke ba.ad bhī 'lubnā'
mire ḳhulūs-e-mohabbat pe vaar kis ne kiyā

KHizan ki sham ko zaKHm-e-bahaar kis ne kiya
har ek resha-e-gul rang-bar kis ne kiya

KHushi visal ki sari sameT li tu ne
firaq lamhon ko bolo shumar kis ne kiya

har ek shaKHs yahan bad-guman tujh se tha
nigah-e-yar tera e'tibar kis ne kiya

ye mere ghar ki udasi gawahi degi tujhe
ki tere hijr ke dariya ko par kis ne kiya

mata-e-jaan ko kiya KHak kis ne tere liye
ye KHak-e-jaan hi bataegi pyar kis ne kiya

wafa mein jaan luTane ke baad bhi 'lubna'
mere KHulus-e-mohabbat pe war kis ne kiya


Leave a comment

+