Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Vikas Sharma Raaz

  • Ghazal


hawa ke sath yari ho gai hai


havā ke saath yaarī ho ga.ī hai
diye kī umr lambī ho ga.ī hai

faqat zanjīr badlī jā rahī thī
maiñ samjhā thā rihā.ī ho ga.ī hai

bachī hai jo dhanak us kā karūñ kyā
tirī tasvīr puurī ho ga.ī hai

hamāre darmiyāñ jo uTh rahī thī
vo ik dīvār puurī ho ga.ī hai

qarīb aa to gayā hai chāñd mere
magar har chiiz dhundlī ho ga.ī hai

hawa ke sath yari ho gai hai
diye ki umr lambi ho gai hai

faqat zanjir badli ja rahi thi
main samjha tha rihai ho gai hai

bachi hai jo dhanak us ka karun kya
teri taswir puri ho gai hai

hamare darmiyan jo uTh rahi thi
wo ek diwar puri ho gai hai

qarib aa to gaya hai chand mere
magar har chiz dhundli ho gai hai


Leave a comment

+