Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jaleel Manikpuri

  • Ghazal


us ka jalwa jo koi dekhne wala hota


us kā jalva jo koī dekhne vaalā hotā
vāda-e-dīd qayāmat pe na Taalā hotā

baam par the vo khaḌe lutf do-bālā hotā
mujh ko bhī dil ne uchhal kar jo uchhālā hotā

kaise ḳhush-rañg haiñ zaḳhm-e-jigar o dāġh-e-jigar
ham dikhāte jo koī dekhne vaalā hotā

dil na sambhlā thā agar dekh ke jalva us kā
tū ne ai dard-e-jigar uTh ke sambhālā hotā

tum jo parde meñ sañvarte ho natīja kyā hai
lutf jab thā ki koī dekhne vaalā hotā

tum ne armān hamārā na nikālā na sahī
apne ḳhanjar kā to armān nikālā hotā

dil ke hāthoñ na milā chain kisī roz 'jalīl'
aise dushman ko na āġhosh meñ paalā hotā

us ka jalwa jo koi dekhne wala hota
wada-e-did qayamat pe na Tala hota

baam par the wo khaDe lutf do-baala hota
mujh ko bhi dil ne uchhal kar jo uchhaala hota

kaise KHush-rang hain zaKHm-e-jigar o dagh-e-jigar
hum dikhate jo koi dekhne wala hota

dil na sambhla tha agar dekh ke jalwa us ka
tu ne ai dard-e-jigar uTh ke sambhaala hota

tum jo parde mein sanwarte ho natija kya hai
lutf jab tha ki koi dekhne wala hota

tum ne arman hamara na nikala na sahi
apne KHanjar ka to arman nikala hota

dil ke hathon na mila chain kisi roz 'jalil'
aise dushman ko na aaghosh mein pala hota

RECITATIONS Fasih Akmal



00:00/00:00 us ka jalwa jo koi dekhne wala hota Fasih Akmal

Leave a comment

+