anjuman-e-bahār meñ nāz-e-butāñ kī baat kar
lutf-e-ḳhirām sāqī-o-sarv-e-ravāñ kī baat kar
shaiḳh-e-haram kā zikr kyā dekh umañD chalī ghaTā
sāqī-e-nau-bahār kī pīr-e-muġhāñ kī baat kar
zohd-o-vara.a kā vāsta jū-e-tahūr kī qasam
aaj kisī ke dīda-e-bāda-fishāñ kī baat kar
tauba kī aaj fātiha paḌhne chale haiñ bāda-kash
abr siyāh-posh hai ratl-s-girāñ kī baat kar
anjuman-e-bahaar mein naz-e-butan ki baat kar
lutf-e-KHiram saqi-o-sarw-e-rawan ki baat kar
shaiKH-e-haram ka zikr kya dekh umanD chali ghaTa
saqi-e-nau-bahaar ki pir-e-mughan ki baat kar
zohd-o-wara ka wasta ju-e-tahur ki qasam
aaj kisi ke dida-e-baada-fishan ki baat kar
tauba ki aaj fatiha paDhne chale hain baada-kash
abr siyah-posh hai ratl-s-giran ki baat kar
Source: Book : Saaz-e-hayat (Pg. 48) Author : Prem Shankar Goila Farhat Publication : Maktaba Tahriik, Ansari Market, Daryaganj (1965) Edition : 1965
Leave a comment