Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Lala Madhav Ram Jauhar

  • Ghazal


dil ko samjhao zara ishq mein kya rakkha hai


dil ko samjhāo zarā ishq meñ kyā rakkhā hai
kis liye aap ko dīvāna banā rakkhā hai

ye to ma.alūm hai bīmār meñ kyā rakkhā hai
tere milne kī tamannā ne jilā rakkhā hai

kaun sā bāda-kash aisā hai ki jis kī ḳhātir
jaam pahle hī se saaqī ne uThā rakkhā hai

apne hī haal meñ rahne de mujhe ai hamdam
terī bātoñ ne mirā dhyān baTā rakkhā hai

ātish-e-ishq se allāh bachā.e sab ko
isī sho.ale ne zamāne ko jalā rakkhā hai

maiñ ne zulfoñ ko chhuā ho to Daseñ naag mujhe
be-ḳhatā aap ne ilzām lagā rakkhā hai

kaise bhūle hue haiñ gabr o musalmāñ donoñ
dair meñ but hai na ka.abe meñ ḳhudā rakkhā hai

dil ko samjhao zara ishq mein kya rakkha hai
kis liye aap ko diwana bana rakkha hai

ye to malum hai bimar mein kya rakkha hai
tere milne ki tamanna ne jila rakkha hai

kaun sa baada-kash aisa hai ki jis ki KHatir
jam pahle hi se saqi ne uTha rakkha hai

apne hi haal mein rahne de mujhe ai hamdam
teri baaton ne mera dhyan baTa rakkha hai

aatish-e-ishq se allah bachae sab ko
isi shoale ne zamane ko jala rakkha hai

main ne zulfon ko chhua ho to Dasen nag mujhe
be-KHata aap ne ilzam laga rakkha hai

kaise bhule hue hain gabr o musalman donon
dair mein but hai na kabe mein KHuda rakkha hai


Source: Book : Intekhab Kalam Lala M.R Jauhar (Pg. 74)

Leave a comment

+