Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faisal Azeem

  • Ghazal


bhari hai aag jebon mein kaf-e-afsos malte hain


bharī hai aag jeboñ meñ kaf-e-afsos malte haiñ
hamārī hī kamā.ī se hamāre haath jalte haiñ

mire atrāf meñ ye khīñchā-tānī kam nahīñ hotī
idhar pahlū badaltā huuñ udhar jaale badalte haiñ

kisī ko bhī vo añgāra dikhā.ī hī nahīñ detā
ishāre se batātā huuñ to apne haath jalte haiñ

maiñ apne jism se bāhar huuñ yā rūhoñ kā maskan hai
unheñ maiñ chhū nahīñ paatā jo mere saath chalte haiñ

hamāre chaak par uqbā ka.ī shakleñ badaltī hai
ye jannat aur jahannum to hamāre saath chalte haiñ

nazar-andāz karke sab guzar jaate haiñ mujh meñ se
nafī karte hue mujh meñ ka.ī raste nikalte haiñ

sadā ban kar bahut Takrā.e haiñ mīnār-o-gumbad se
ab āñkheñ khul ga.ī haiñ to añdhere se nikalte haiñ

bhari hai aag jebon mein kaf-e-afsos malte hain
hamari hi kamai se hamare hath jalte hain

mere atraf mein ye khincha-tani kam nahin hoti
idhar pahlu badalta hun udhar jale badalte hain

kisi ko bhi wo angara dikhai hi nahin deta
ishaare se batata hun to apne hath jalte hain

main apne jism se bahar hun ya ruhon ka maskan hai
unhen main chhu nahin pata jo mere sath chalte hain

hamare chaak par uqba kai shaklen badalti hai
ye jannat aur jahannum to hamare sath chalte hain

nazar-andaz karke sab guzar jate hain mujh mein se
nafi karte hue mujh mein kai raste nikalte hain

sada ban kar bahut Takrae hain minar-o-gumbad se
ab aankhen khul gai hain to andhere se nikalte hain


Leave a comment

+