Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Naeem Raza Bhatti

  • Ghazal


koi pal ji uThe agar hum bhi


koī pal jī uThe agar ham bhī
dam na le pā.egā yahāñ dam bhī

kār-e-bekār kā asāsa hai
mujh se be-jān ke sivā ġham bhī

kyā mire bas meñ kuchh nahīñ rakkhā
ġhaib se aa.egā agar nam bhī

jis jagah apnī bebasī hañs de
ḳhaak kar pā.egā vahāñ ram bhī

apnī be-e'tidāliyoñ ke sabab
maiñ agar baḌh gayā huā kam bhī

koi pal ji uThe agar hum bhi
dam na le paega yahan dam bhi

kar-e-bekar ka asasa hai
mujh se be-jaan ke siwa gham bhi

kya mere bas mein kuchh nahin rakkha
ghaib se aaega agar nam bhi

jis jagah apni bebasi hans de
KHak kar paega wahan ram bhi

apni be-e'tidaliyon ke sabab
main agar baDh gaya hua kam bhi


Leave a comment

+