Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kaif Ahmed Siddiqui

  • Ghazal


ye pili shaKH par baiThe hue pile parinde


ye piilī shāḳh par baiThe hue piile parinde
laraztī dhuup kī āġhosh meñ sahme parinde

ḳhudā ma.alūm kis āvāz ke pyāse parinde
vo dekho ḳhāmushī kī jhiil meñ utre parinde

mire kamre kī vīrānī se uktā.e parinde
sulagtī dopahar meñ kis taraf jaate parinde

hisār-e-jism se ghabrā ke jab nikle parinde
havā kī zad meñ aa kar der tak chīḳhe parinde

ḳhud apne sho.ala-e-parvāz se jalte parinde
ḳhalā-e-yaḳh-zada meñ rah ke bhī sulge parinde

mire dast-e-havas-ālūd se uḌte parinde
kisī shāḳh-e-javānī tak nahīñ pahuñche parinde

azal se ik hasīñ ḳhushbū ke dīvāne parinde
abad tak 'kaif' dasht-e-rañg meñ bhaTke parinde

ye pili shaKH par baiThe hue pile parinde
larazti dhup ki aaghosh mein sahme parinde

KHuda malum kis aawaz ke pyase parinde
wo dekho KHamushi ki jhil mein utre parinde

mere kamre ki virani se uktae parinde
sulagti dopahar mein kis taraf jate parinde

hisar-e-jism se ghabra ke jab nikle parinde
hawa ki zad mein aa kar der tak chiKHe parinde

KHud apne shoala-e-parwaz se jalte parinde
KHala-e-yaKH-zada mein rah ke bhi sulge parinde

mere dast-e-hawas-alud se uDte parinde
kisi shaKH-e-jawani tak nahin pahunche parinde

azal se ek hasin KHushbu ke diwane parinde
abad tak 'kaif' dasht-e-rang mein bhaTke parinde


Source: Shab Khoon(Shumara Number-054)

Leave a comment

+