Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ehteram Islam

  • Ghazal


faza-e-sham ziya-e-sahar usi se mili


fazā-e-shām ziyā-e-sahar usī se milī
kashish hayāt ko al-muḳhtasar usī se milī

usī se mujh ko milā ishtiyāq manzil kā
mire safar ko fazā-e-safar usī se milī

buland martaba-e-musht-e-ḳhāk usī ne kiyā
tamām fahm-o-zakā-o-nazar usī se milī

ġhurūr ḳhud pe jise jis qadar bhī ho lekin
milī jise bhī mata-e-hunar usī se milī

usī ne zulmat-e-gum-gashtagī ko duur kiyā
talāsh-e-haq ko rah-e-mo'tabar usī se milī

atā karegā hameñ bhī vahī ridā-e-ziyā
ki jugnuoñ ko qabā-e-sharar usī se milī

vo be-ḳhabar hai nahīñ ehtirām jis ko ḳhabar
ki aadmī ko milī har ḳhabar usī se milī

faza-e-sham ziya-e-sahar usi se mili
kashish hayat ko al-muKHtasar usi se mili

usi se mujh ko mila ishtiyaq manzil ka
mere safar ko faza-e-safar usi se mili

buland martaba-e-musht-e-KHak usi ne kiya
tamam fahm-o-zaka-o-nazar usi se mili

ghurur KHud pe jise jis qadar bhi ho lekin
mili jise bhi mata-e-hunar usi se mili

usi ne zulmat-e-gum-gashtagi ko dur kiya
talash-e-haq ko rah-e-mo'tabar usi se mili

ata karega hamein bhi wahi rida-e-ziya
ki jugnuon ko qaba-e-sharar usi se mili

wo be-KHabar hai nahin ehtiram jis ko KHabar
ki aadmi ko mili har KHabar usi se mili

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Ehteram Islam

Source: Book : Hazir hai ehteram (Pg. 15) Author : Ehitaram Islam Publication : Anjuman Prakashan (2014) Edition : 2014

Leave a comment

+