Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faizul Amin Faiz

  • Ghazal


kisi aaseb ka saya hai is par log kahte hain


kisī aaseb kā saaya hai is par log kahte haiñ
paḌā rahtā hai vo hujre ke andar log kahte haiñ

mirī bastī meñ ik buḌhiyā hai jo sach-much kī Daa.in hai
vo khā jaatī hai bachchoñ ko pakaḌ kar log kahte haiñ

har ik rishta yahāñ qaa.em hai bas matlab parastī par
zamāne meñ yahī raa.ij hai culture log kahte haiñ

muazziz shaḳhsiyat hai shahr kā ab nāmvar ġhunda
ki ban baiThā hai vo pārTī kā leader log kahte haiñ

sabaq letā hai jo bhī ḳhāmiyoñ se apne maazī kī
vahī jaatā hai mustaqbil meñ uupar log kahte haiñ

ta.alluq hai mirā bas dostī kī had talak us se
ġhalat bāteñ hī lekin kyoñ barābar log kahte haiñ

shikasta naav le kar 'faiz' nikle ho samundar meñ
tumhārā Duub jaanā hai muqaddar log kahte haiñ

kisi aaseb ka saya hai is par log kahte hain
paDa rahta hai wo hujre ke andar log kahte hain

meri basti mein ek buDhiya hai jo sach-much ki Dain hai
wo kha jati hai bachchon ko pakaD kar log kahte hain

har ek rishta yahan qaem hai bas matlab parasti par
zamane mein yahi raij hai culture log kahte hain

muazziz shaKHsiyat hai shahr ka ab namwar ghunda
ki ban baiTha hai wo parTi ka leader log kahte hain

sabaq leta hai jo bhi KHamiyon se apne mazi ki
wahi jata hai mustaqbil mein upar log kahte hain

talluq hai mera bas dosti ki had talak us se
ghalat baaten hi lekin kyon barabar log kahte hain

shikasta naw le kar 'faiz' nikle ho samundar mein
tumhaara Dub jaana hai muqaddar log kahte hain


Source: Book : Handwriting File Mail By Salim Saleem

Leave a comment

+