hasīñ sub.h hasīñ shaam chāhtā huuñ maiñ
ki zindagī ko ḳhush-anjām chāhtā huuñ maiñ
zarā sā muskurā ke merī taraf dekh to lo
huuñ tishna bāda-e-gulfām chāhtā huuñ maiñ
nahīñ hai shak koī is meñ to nek-sīrat hai
zamāne bhar meñ tirā naam chāhtā huuñ maiñ
vo jis ke vāste khā.īñ haiñ Thokareñ kitnī
usī ko ham-safar har gaam chāhtā huuñ maiñ
tirā ḳhayāl ho dil meñ laboñ pe zikr tirā
ki phir se yuuñ sahar-o-shām chāhtā huuñ maiñ
'karan' ye kaun kahe baḌh ke mere saaqī ko
ki us ke hāthoñ se ik jaam chāhtā huuñ maiñ
hasin subh hasin sham chahta hun main
ki zindagi ko KHush-anjam chahta hun main
zara sa muskura ke meri taraf dekh to lo
hun tishna baada-e-gulfam chahta hun main
nahin hai shak koi is mein to nek-sirat hai
zamane bhar mein tera nam chahta hun main
wo jis ke waste khain hain Thokaren kitni
usi ko ham-safar har gam chahta hun main
tera KHayal ho dil mein labon pe zikr tera
ki phir se yun sahar-o-sham chahta hun main
'karan' ye kaun kahe baDh ke mere saqi ko
ki us ke hathon se ek jam chahta hun main
Source: Book : Shehr-e-Sukhan (Pg. 21) Author : Karan Singh Karan Publication : Manvi Parkashan (2009) Edition : 2009
Leave a comment