jab tabī.at sukūñ se ghabrā.ī
le chalā zauq-e-ābla-pā.ī
vo hue mā.il-e-masīhā.ī
maut phir zindagī se sharmā.ī
zulf bikhrī ki bas ghaTā chhā.ī
ahl-e-taqvā pe ik balā aa.ī
tā.ir-e-ārzū ne par tole
sehn-e-dil meñ chalī hai purvā.ī
muḌ ke tūfāñ ko bārhā dekhā
nazd-e-sāhil jo mauj le aa.ī
kashmakash vo junūn-o-hosh meñ hai
ban gayā husn bhī tamāshā.ī
rūh-o-tan meñ azal se nisbat hai
phir bhī haiñ tishna-e-shanāsā.ī
shaiḳh ko ḳhuld-o-hūr kā saudā
haa.e ye lazzatoñ kī gīrā.ī
mai-kada kā ye mo.ajiza hai ajiib
kufr-o-dīñ meñ bhī hai shanāsā.ī
shaġhl-e-mai fart-e-ġham meñ kyā karte
is meñ thī duḳht-e-raz kī rusvā.ī
din ko masjid to shab ko mai-ḳhāna
tujh sā 'farhat' hai kaun harjā.ī
jab tabiat sukun se ghabrai
le chala zauq-e-abla-pai
wo hue mail-e-masihai
maut phir zindagi se sharmai
zulf bikhri ki bas ghaTa chhai
ahl-e-taqwa pe ek bala aai
tair-e-arzu ne par tole
sehn-e-dil mein chali hai purwai
muD ke tufan ko barha dekha
nazd-e-sahil jo mauj le aai
kashmakash wo junun-o-hosh mein hai
ban gaya husn bhi tamashai
ruh-o-tan mein azal se nisbat hai
phir bhi hain tishna-e-shanasai
shaiKH ko KHuld-o-hur ka sauda
hae ye lazzaton ki girai
mai-kada ka ye moajiza hai ajib
kufr-o-din mein bhi hai shanasai
shaghl-e-mai fart-e-gham mein kya karte
is mein thi duKHt-e-raz ki ruswai
din ko masjid to shab ko mai-KHana
tujh sa 'farhat' hai kaun harjai
Source: Book : Saaz-e-hayat (Pg. 30) Author : Prem Shankar Goila Farhat Publication : Maktaba Tahriik, Ansari Market, Daryaganj (1965) Edition : 1965
Leave a comment