Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jaleel Manikpuri

  • Ghazal


wasl mein wo chheDne ka hausla jata raha


vasl meñ vo chheḌne kā hausla jaatā rahā
tum gale se kyā mile saarā gila jaatā rahā

yaar tak pahuñchā diyā betābi-e-dil ne hameñ
ik taḌap meñ manziloñ kā fāsla jaatā rahā

ek to āñkheñ dikhā.īñ phir ye shoḳhī se kahā
kahiye ab to kam-nigāhī kā gila jaatā rahā

roz jaate the ḳhat apne roz aate the payām
ek muddat ho ga.ī vo silsila jaatā rahā

ro rahe the dil ko ham yaañ hosh bhī jaate rahe
gum-shuda yūsuf ke pīchhe qāfila jaatā rahā

muḌ ke qātil ne na dekhā vaar puurā ho gayā
kushtgān-e-nīm-bismil kā gila jaatā rahā

vādi-e-ġhurbat ke sāthī haiñ hameñ dil se aziiz
ro diye ham phuuT kar jab aabla jaatā rahā

be-ḳhudī meñ mahv-e-nazzāra the ham kyuuñ chauñk uThe
haa.e vo apnā maze kā mashġhala jaatā rahā

kyā mohazzab ban ke pesh-e-yār baiThe haiñ 'jalīl'
aaj vo josh-e-junūñ vo valvala jaatā rahā

wasl mein wo chheDne ka hausla jata raha
tum gale se kya mile sara gila jata raha

yar tak pahuncha diya betabi-e-dil ne hamein
ek taDap mein manzilon ka fasla jata raha

ek to aankhen dikhain phir ye shoKHi se kaha
kahiye ab to kam-nigahi ka gila jata raha

roz jate the KHat apne roz aate the payam
ek muddat ho gai wo silsila jata raha

ro rahe the dil ko hum yan hosh bhi jate rahe
gum-shuda yusuf ke pichhe qafila jata raha

muD ke qatil ne na dekha war pura ho gaya
kushtgan-e-nim-bismil ka gila jata raha

wadi-e-ghurbat ke sathi hain hamein dil se aziz
ro diye hum phuT kar jab aabla jata raha

be-KHudi mein mahw-e-nazzara the hum kyun chaunk uThe
hae wo apna maze ka mashghala jata raha

kya mohazzab ban ke pesh-e-yar baiThe hain 'jalil'
aaj wo josh-e-junun wo walwala jata raha


Leave a comment

+