Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imran Shamshad

  • Ghazal


muddat se aadmi ka yahi masala raha


muddat se aadmī kā yahī mas.ala rahā
patthar daraḳht aadmī us kā ḳhudā rahā

daftar meñ filoñ se ulajhne ke saath saath
ik shaḳhs kār-e-ishq meñ bhī mubtalā rahā

pahle vo kār-e-ishq meñ uljhā rahā bahut
phir ḳhud meñ vo ḳhudā kā nishāñ DhūñDhtā rahā

jo kar nahīñ sakā na sunā us kā mājrā
jo kaam kar rahā thā batā us kā kyā rahā

lamhoñ kī suuī thak ke bahut sust ho ga.ī
khiḌkī se baar baar koī jhāñktā rahā

bistar pe apne aa ke mohabbat ko soch kar
pañkhe ke paar chhat ko yūñhī dekhtā rahā

muddat se aadmi ka yahi masala raha
patthar daraKHt aadmi us ka KHuda raha

daftar mein filon se ulajhne ke sath sath
ek shaKHs kar-e-ishq mein bhi mubtala raha

pahle wo kar-e-ishq mein uljha raha bahut
phir KHud mein wo KHuda ka nishan DhunDhta raha

jo kar nahin saka na suna us ka majra
jo kaam kar raha tha bata us ka kya raha

lamhon ki sui thak ke bahut sust ho gai
khiDki se bar bar koi jhankta raha

bistar pe apne aa ke mohabbat ko soch kar
pankhe ke par chhat ko yunhi dekhta raha


Leave a comment

+