husn-e-shoḳh-chashm meñ naam ko vafā nahīñ
dard-āfrīñ nazar dard-āshnā nahīñ
nañg-e-āshiqī hai vo nañg-e-zindagī hai vo
jis ke dil kā ā.īna terā ā.īna nahīñ
aah us kī be-kasī tū na jis ke saath ho
haa.e us kī bandagī jis kā tū ḳhudā nahīñ
haif vo alam-nasīb jis kā dard tū na ho
uf vo dard-e-zindagī jis kī tū davā nahīñ
dost yā aziiz haiñ ḳhud-farebiyoñ kā naam
aaj aap ke sivā koī aap kā nahīñ
apne husn ko zarā tū mirī nazar se dekh
dost! shash-jahāt meñ kuchh tire sivā nahīñ
be-vafā ḳhudā se Dar ta.ana-e-vafā na de
'tājvar' meñ aur aib kuchh hoñ be-vafā nahīñ
husn-e-shoKH-chashm mein nam ko wafa nahin
dard-afrin nazar dard-ashna nahin
nang-e-ashiqi hai wo nang-e-zindagi hai wo
jis ke dil ka aaina tera aaina nahin
aah us ki be-kasi tu na jis ke sath ho
hae us ki bandagi jis ka tu KHuda nahin
haif wo alam-nasib jis ka dard tu na ho
uf wo dard-e-zindagi jis ki tu dawa nahin
dost ya aziz hain KHud-farebiyon ka nam
aaj aap ke siwa koi aap ka nahin
apne husn ko zara tu meri nazar se dekh
dost! shash-jahat mein kuchh tere siwa nahin
be-wafa KHuda se Dar tana-e-wafa na de
'tajwar' mein aur aib kuchh hon be-wafa nahin
Source: Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 49) Author : Farooq Argali Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004) Edition : 2004
Leave a comment