Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zahid Farani

  • Ghazal


kai dilon mein paDi is se shor-o-shar ki tarah


ka.ī diloñ meñ paḌī is se shor-o-shar kī tarah
tirā ḳhayāl hai uḌtī huī ḳhabar kī tarah

nahīñ hai tāb-e-nazar kam-ayār āñkhoñ meñ
chamak rahā hai vo chehra dukān-e-zar kī tarah

haTegī gard-e-mah-o-sāl kis ke hāthoñ se
zamāna band paḌā hai qadīm dar kī tarah

ḳhayāl-e-ġhair nikaltā nahīñ mire dil se
kisī ke ghar meñ ye baiThā hai apne ghar kī tarah

ThiThak gayā maiñ use apne sāmne pā kar
mujhe lagā vo guzargāh-e-pur-ḳhatar kī tarah

sukūñ ke saath thakan bhī hai us kī yādoñ meñ
guzishta umr hai bhūle hue safar kī tarah

pas-e-adā-e-nazar chhup ga.ī hai tārīkī
vo be-naqāb huā avvalīñ sahar kī tarah

jo mere sāmne muddat ke ba.ad aayā thā
guzar gayā hai uchaTtī huī nazar kī tarah

Dhale haiñ in meñ mirī zindagī ke shām-o-sahar
haiñ mere sher hikāyāt-e-muḳhtasar kī tarah

kai dilon mein paDi is se shor-o-shar ki tarah
tera KHayal hai uDti hui KHabar ki tarah

nahin hai tab-e-nazar kam-ayar aankhon mein
chamak raha hai wo chehra dukan-e-zar ki tarah

haTegi gard-e-mah-o-sal kis ke hathon se
zamana band paDa hai qadim dar ki tarah

KHayal-e-ghair nikalta nahin mere dil se
kisi ke ghar mein ye baiTha hai apne ghar ki tarah

ThiThak gaya main use apne samne pa kar
mujhe laga wo guzargah-e-pur-KHatar ki tarah

sukun ke sath thakan bhi hai us ki yaadon mein
guzishta umr hai bhule hue safar ki tarah

pas-e-ada-e-nazar chhup gai hai tariki
wo be-naqab hua awwalin sahar ki tarah

jo mere samne muddat ke baad aaya tha
guzar gaya hai uchaTti hui nazar ki tarah

Dhale hain in mein meri zindagi ke sham-o-sahar
hain mere sher hikayat-e-muKHtasar ki tarah


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+