fasīl-e-jān pe saa.e haiñ zard beloñ ke
ye kaise abr se chhā.e haiñ zard beloñ ke
tumhārī āñkhoñ pe ḳhushbū utar chukī lekin
hameñ to ḳhvāb tak aa.e haiñ zard beloñ ke
vo surḳh phuul kitāboñ meñ dekh rotā rahā
jise bhī qisse sunā.e haiñ zard beloñ ke
ḳhabar nahīñ bhī havā ko to baaġh jāntā hai
jo maiñ ne rañj uThā.e haiñ zard beloñ ke
kuchh is liye bhī mirī saañs ruk rahī hai 'farah'
kisī ne zaḳhm dikhā.e haiñ zard beloñ ke
fasil-e-jaan pe sae hain zard belon ke
ye kaise abr se chhae hain zard belon ke
tumhaari aankhon pe KHushbu utar chuki lekin
hamein to KHwab tak aae hain zard belon ke
wo surKH phul kitabon mein dekh rota raha
jise bhi qisse sunae hain zard belon ke
KHabar nahin bhi hawa ko to bagh jaanta hai
jo main ne ranj uThae hain zard belon ke
kuchh is liye bhi meri sans ruk rahi hai 'farah'
kisi ne zaKHm dikhae hain zard belon ke
Leave a comment