laakh chhupte phireñ harfoñ meñ simaTte jaa.eñ
sher uftād haiñ uḌ uḌ ke lipaTte jaa.eñ
hasrats-e-hauq ne is darja uḌaa.ī rañgat
ab jo manzar hameñ dekheñ to ThiTakte jaa.eñ
dastak-e-ġham ne mirī niiñd abhī toḌī hai
kirchiyāñ chunte hue ḳhvāb sisakte jaa.eñ
be-ghaḌī rasm-e-aqīdat sī nibhā.ī ham ne
ghar ko jaa.eñ bhī to sau baar bhaTakte jaa.eñ
sho.ala-e-dil tū jalā.egā hameñ yuuñ kab tak
terī marzī hai sar-e-hashr dahakte jaa.eñ
lakh chhupte phiren harfon mein simaTte jaen
sher uftad hain uD uD ke lipaTte jaen
hasrats-e-hauq ne is darja uDai rangat
ab jo manzar hamein dekhen to ThiTakte jaen
dastak-e-gham ne meri nind abhi toDi hai
kirchiyan chunte hue KHwab sisakte jaen
be-ghaDi rasm-e-aqidat si nibhai hum ne
ghar ko jaen bhi to sau bar bhaTakte jaen
shoala-e-dil tu jalaega hamein yun kab tak
teri marzi hai sar-e-hashr dahakte jaen
Leave a comment