Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Bakhsh Layalpuri

  • Ghazal


ruKH-e-hayat hai sharminda-e-jamal bahut


ruḳh-e-hayāt hai sharminda-e-jamāl bahut
jamī huī hai abhī gard-e-māh-o-sāl bahut

gurez-pā hai jo mujh se tirā visāl to kyā
mirā junūñ bhī hai āmāda-e-zavāl bahut

mujhe har aan ye detā hai vasl kī lazzat
vafā-shanās hai tujh se tirā ḳhayāl bahut

kitāb-e-zīst ke har ik varaq pe raushan haiñ
ye terī farda-nigāhī ke ḳhad-o-ḳhāl bahut

palaT ga.e jo parinde to phir gila kyā hai
har ek shāḳh-e-shajar par bichhe haiñ jaal bahut

tumheñ hai naaz agar apne husn-e-sarkash par
to merā ishq bhī hai rū-kash-e-jamāl bahut

azān-e-sub.h kī har lai kī taar TuuT ga.e
faroġh-e-zulmat-e-shab kā hai ye kamāl bahut

kisī bhī pyaas ke maare kī pyaas bujh na sakī
samundaroñ meñ to aate rahe uchhāl bahut

ruKH-e-hayat hai sharminda-e-jamal bahut
jami hui hai abhi gard-e-mah-o-sal bahut

gurez-pa hai jo mujh se tera visal to kya
mera junun bhi hai aamada-e-zawal bahut

mujhe har aan ye deta hai wasl ki lazzat
wafa-shanas hai tujh se tera KHayal bahut

kitab-e-zist ke har ek waraq pe raushan hain
ye teri farda-nigahi ke KHad-o-KHal bahut

palaT gae jo parinde to phir gila kya hai
har ek shaKH-e-shajar par bichhe hain jal bahut

tumhein hai naz agar apne husn-e-sarkash par
to mera ishq bhi hai ru-kash-e-jamal bahut

azan-e-subh ki har lai ki tar TuT gae
farogh-e-zulmat-e-shab ka hai ye kamal bahut

kisi bhi pyas ke mare ki pyas bujh na saki
samundaron mein to aate rahe uchhaal bahut


Leave a comment

+