Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghulam Mohammad Qasir

  • Ghazal


hijr ke tapte mausam mein bhi dil un se wabasta hai


hijr ke tapte mausam meñ bhī dil un se vābasta hai
ab tak yaad kā pattā pattā Daalī se paivasta hai

muddat guzrī duur se maiñ ne ek safīna dekhā thā
ab tak ḳhvāb meñ aa kar shab bhar dariyā mujh ko Dastā hai

shām-e-abad tak Takrāne kā izn nahīñ hai donoñ ko
chāñd usī par garm-e-safar hai jo sūraj kā rasta hai

tez nahīñ gar aañch badan kī jam jāoge raste meñ
us bastī ko jaane vaalī pagDanDī yaḳh-basta hai

aayā hai ik rāh-numā ke istiqbāl ko ik bachcha
peT hai ḳhālī aañkh meñ hasrat hāthoñ meñ gul-dasta hai

lafzoñ kā bevpār na aayā us ko kisī mahñgā.ī meñ
kal bhī 'qāsir' kam-qīmat thā aaj bhī qāsir sastā hai

hijr ke tapte mausam mein bhi dil un se wabasta hai
ab tak yaad ka patta patta Dali se paiwasta hai

muddat guzri dur se main ne ek safina dekha tha
ab tak KHwab mein aa kar shab bhar dariya mujh ko Dasta hai

sham-e-abad tak Takrane ka izn nahin hai donon ko
chand usi par garm-e-safar hai jo suraj ka rasta hai

tez nahin gar aanch badan ki jam jaoge raste mein
us basti ko jaane wali pagDanDi yaKH-basta hai

aaya hai ek rah-numa ke istiqbaal ko ek bachcha
peT hai KHali aankh mein hasrat hathon mein gul-dasta hai

lafzon ka bewpar na aaya us ko kisi mahngai mein
kal bhi 'qasir' kam-qimat tha aaj bhi qasir sasta hai

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Ghulam Mohammad Qasir

Leave a comment

+