Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aadil Raza Mansoori

  • Ghazal


wahan shayad koi baiTha hua hai


vahāñ shāyad koī baiThā huā hai
abhī khiḌkī meñ ik jaltā diyā hai

mirā dil bhī ajab ḳhālī viyā hai
kisī kī yaad ne jis ko bharā hai

parinde shāḳh se lipTe hue haiñ
ye kaisā ḳhauf ḳhema-zan huā hai

mirī ḳhāmoshiyoñ kī jhiil meñ phir
kisī āvāz kā patthar girā hai

mohabbat kā muqaddar dekhte ho
havā ne kuchh to paanī par likhā hai

usī par khul rahe haiñ saare mausam
jo apne ghar se bāhar aa gayā hai

charāġho ab zarā apnī sunāo
havā kā kaam puurā ho chukā hai

mohabbat phir vahīñ le aa.ī 'ādil'
ye jañgal bār-hā dekhā huā hai

wahan shayad koi baiTha hua hai
abhi khiDki mein ek jalta diya hai

mera dil bhi ajab KHali wiya hai
kisi ki yaad ne jis ko bhara hai

parinde shaKH se lipTe hue hain
ye kaisa KHauf KHema-zan hua hai

meri KHamoshiyon ki jhil mein phir
kisi aawaz ka patthar gira hai

mohabbat ka muqaddar dekhte ho
hawa ne kuchh to pani par likha hai

usi par khul rahe hain sare mausam
jo apne ghar se bahar aa gaya hai

charagho ab zara apni sunao
hawa ka kaam pura ho chuka hai

mohabbat phir wahin le aai 'adil'
ye jangal bar-ha dekha hua hai


Source: Book : Sarsabz (Pg. 67) Author : Krishan Kumar Toor Publication : Sarsabz Dharamshala (April to September 2013) Edition : April to September 2013

Leave a comment

+